Monday, February 20, 2017

Jamat Raza E Mustafa Ke Bare Zane

INTRODUCTION  ”
जमात रजा-ए-मुस्तफा” एक गैर सियासी आलमी तन्जिम व तहरीक है, इस तंन्जिमको मुज्जदीदे जमाना, एक सच्चे आशीके रसूल इमाम अहमद रज़ा खान फाज़ीले बरेलवी रदी अल्लाहो अन्हु ने 7 रब्बीउल आखीर 1339 हीजरी, मुताबीक-17 डिसंबर सन-1920, मे कायम किया है, आला हज़रत इमाम अहमद रज़ा खान फाज़ीले बरेलवी रहमतुल्लाह अलैह की वह दुरबीनी थी जो आजसे ठीक 93 साल पहले इसे कायम फरमाकर हमे शरीयत के दायरेमे रहकर खुश अकीदा मुसलमानोकी रहनुमायी के लिए दुनीयाकी एक बेहतरीन तंन्जीमसे हमे नवाज़ा है, इस तंन्जीम ने मस्जिद व मदरसे के बाहर के मामलात को लोगोके बिच जाकर ऐसे-ऐसे अनगीनत तारीख साज दीनी व दुनीयावी कारनामोको अंजाम दिया है के जिसे तारीख कभी-भी फरामोश नही कर सकती ।”जमात रजा-ए-मुस्तफा” सफ-ए-अव्वल एक ऐसी वाहीद गैर सियासी तंन्जीम है जिसने शुरुसे लेकर अबतक वही काम किया है जिसे दीन व शरीयत ने इज़ाजत दी है, आला हजरत व मुफ़्ति-ए-आज़म हिंद के सरपरस्ती मे वक्त के बडे-बडे ओल्मा-ए-अहेलेसुन्नतने तंज़ीम के जरीये तबलीग-ए-दीन की इशाअत ब फला बहबुदी के लिए काम किया जिनमे खुसुसी सफे फेहरीस्त हुजुर सदरुश्शरीया हज़रत अमजद अली साहब, शेर बेशा-ए-अहेले सुन्नत हश्मत अली साहब, हुजुर मुहद्दीसे आज़म, मौलाना हिदायत यार खान रज़वी, सय्यद ज़मीरुल हसन् अल जिलानी, बुरहाने मिल्लत मुफ़्ति बुरहानुल हक्क जबलपुरी, मौलाना अबुल वफा फसीही, मौलाना मुहम्मद मदनी मिया किछौछवी, मुफ़्ति रफाकत हुसेन साहब साहब, सय्यद हिमायत रसुल रज़वी शामील रहे, इन 93 सालोमे तंजीम ने कई चढाव व उतार देखे, कभी इसके काम करनेकी रफ़्तार बहोत जियादा तेज रही तो कभी यह वक्ति तौर पर धीमी पड गयी मगर इसका काम करने का तरीकार कभी-भी दीन व शरीयत के खीलाफ ना रहा, मगर आज कुछ तंजीमे आला हज़रत का नाम लेकर अव्वामे अहेले सुन्नत को धोका दे रही है, यही लोग दुनीया की पैरवी करते हुए शरीयत के खीलाफ जाक र नफ्स की पैरवी करते हुए एक-एक हराम चिजोको जायज़ करार देकर आज़ाद खयाल लोगोको लिए हराम कामोकी सहुलते फराहम करनेमे लगे हुए है तो कोई सुन्नी बनकर लोगोके इमान पर डाका डाल रहा है तो बदमजहब इन जैसे लोगोके करतुत दिखा-दिखाकर सहीउल अकीदा सुन्नी लोगोके इमान पर डाका दाल रहे है, आला हज़रत ने पुरी ज़िदगी दीनकी खीदमात करते हुए बातील व बदमज़हब फिरकोका रद्द करकर सहीउल अकीदा सुन्नीयोके इमान की हिफ़ाज़त की है मगर आज नई-नई तंजीमे लोगोका इमान बचानेके बजाय उन्हे आमाल की दावते दे रहे जबकी की इमान के बगैर आमाल जाया है, जैसे-जैसे वक्त बदलता रहा उसी तरह लोगोकी जरुरते भी बदलती रही, लोग सहुलते तलाशने लगे वह लोग इस तंजीम के जरीए काम करने के बजाए मस्लके आला हज़रत का नारा लगाकर, आला हज़रत की मोहब्बत का दम भरकर, सुन्नीयत को बचानेके लिए नई-नई शख्सीयत पसंद तंजीमे खोल दी है, आला हजरत का नाम व जदीद मसाईल का सहारा लेकर इन लोगोने जब खुब धन-दौलत बनाई तो अपने मतलब के तहत तालीम्-ए-आलाहजरत को दरकीनार कर दिया जिससे सहीउल अकीदा मुसलमानोके इमान व अकीदेमे गडबडी पैदा होने लगी है इसी कमीको पुरा करनेके लिए जमात रजा-ए-मुस्तफा ने इसी तरहके मगर जायज़ जदीद मसाईल के जरीये इन तंजीमो व बदमजहबोका परदा फाहश करनेके लिए जदीद मसाईल के जरीयोको अपनाना शुरु कर दीया है इसकी इब्तेदा इस वेब साईट के जरीए अमल लाई गयी है लेहाजा आप सभी हज़रातसे अपील व गुजारीश है के आप ”जमात रजा-ए-मुस्तफा” का ताउन करकर इस तंजीम की शाख अपने इलाके मे शुरु करदे और तंजीमके के प्लॅटफार्म के जरीए अपने-अपने इलाको मे दीन की तबलीग व इशाअत का काम करे ।

Thursday, February 16, 2017

*SARKAR TAJUSHSHARI'AH KE LAFZ-E-MUHTAJ KE FATWE KO LEKAR HASEDEEN AALE RAZA PAR RAZVI YALGAAR*

➖➖➖➖
                *[[[[[[  PART 1 ]]]]]]*
Bugz O Hasad Ke Nashe Me Choor Sankiyon Ka Zahoor Ho Raha Hai, Ab Sarkar Tajushshari'ah Ke Fatawe Me Bhi Nuqs Nikalne Lage.
FB Aur Whatshapp Ke Dedh Mufti.. Jinko Aab Dast Lene Ke Tariqe Nahi Ma'aloom, Woh Ulma Ki Girift Kar Rahe Hain

Tuesday, February 14, 2017

AITERAZ NO.4 WAHABI LAFZ ACHCHA KAHNE KA ILZAM


Aiteraz No. 4
Wahabi Lafz Achcha Kahne Ka Ilzaam
Mukhalefeen Party Ka Ek Aisa Mazboot Aiteraz Jisko Jaan Kar Aaapko Yaqeen Ho Jaega Ki Yeh Kitne Bade Jhute Kitne Bade Makkar Aur Kitne Bade Jahil Hai....
Actually Baat Yeh Hai Ki Jhuto Ki Duniya Ki Badi Aj

AITERAZ NO.3 MASLAKE AALAHAZRAT PAR HAMLE KA ILJAM



Aiteraz No 3
Maslake Alahazrat Per Hamle Ka Iljam
Har Aiteraz par dhero jawab maujud hai lekin yeh aiteraz hi bemayne hai. sahi aqal walo me yeh dikkat pesh nahi aati hai.

Friday, February 10, 2017

AITERAZ No. 2 BAREILWIYAT PAR HAMLE KA ILJAM


Aiteraz No. 2
Bareilwiyat Par Hamle Ka Iljam
Aiterazat Ke Jawabat dene se qabl mai zaruri samjhta hu ki ek baat per roshni daal

AITERAZ NO.1 HUZUR / NABI BEBAS HAI MAZALLAH !

Mohsine Qaumo Millat Naybe Rasul Paikare Ikhlaso Murawwat Hazrat Allama Maualana Ash Shah Mufti Tatheer Ahamad Razvi Sahab Qiblah Per Aiterazat Ke Iman-Afroz Jawabat
Karun Pehle Tauhide Yaz'daan Raqam.....
Jhuka Jiske Sajde Ko Awwal Qalam.!!!!!!
بسم الله الرحمن الرحيم
نحمده و نصلى ونصلى على رسوله الكريم
اما بعد
Assllamu Alaikum Wa Rahamatullahi Wa Barkatuh,
Mohsine Qaumo Millat Qataye Biddat Paikare Ikhlaso Murawwat Hamiye Ahle Sunnat Naybe Mustafa Huzoor Allama Maulana Mufti Ash Shah Hazrat Tatheer Ahmad Razvi Sahab Qiblah Per In Dino Kuchh Log Bahot Aeteraazat Kar Rahe Hai Aur Un Ki Umda Tareen Kitabo Per Bohtan Baandh Rahe Hai. 
Yeh Log Ya To Ilmi Mea'ar Se Bilkul Nill Hai Ya Fir Yeh Ek Hasad Hai.
Insan Kisi Bhi Dusre Achche Insan Per Ilzam Tarashi Usi Waqt Karta Hai Jab Ya To Woh Use Samjh Nahi Pata Ya Usse Nuqsan Hone Ka Darr Ho.
Aur Mujhe Yaha Per Dono Wajhen Nazar Aati Hai.
Pehli Yeh Ki Aiteraz Karne Wali Party Ki Ilmi Hesiyat Kuchh Nahi Yaha Tak Ke Shayad Wo Urdu Alfaz Ke Saheeh Muaani Tak Nahi Samjhte Hai Aur Allamgi Dikhane Per Tule Huye Hai.
Dusri Wajah Is Tarah Se Hai Ki In Shar Pasand Logo Ki Dukandari Band Ho Jane Ya Dhandha Down Ho Jane Ka Darr Hai. Inki Jo Chahaten Hai Ki Ham Taziyadari Karen Kasrat Se Aur Mazarat Per Aurato Ki Hazri Karwaye Khub Khub Mehnat Se.
Lekin Woh Baat Bhi Badalne Wali Nahi Hai Na Ki Jhut Kitne Hi Naazo Nikhat Se Kaha Jaye Kitna Hi Zor Laga Diya Jaye Aakhir Jhut Hai Aur Jab Sach Se Samna Hoga To Jhukna Hi Hoga.
Inlogo Ne Allama Tatheer Ahmad Razvi Sahab Qiblah Per Jo Aeterazaat Kiye Hai Unhe Itna Mazbut Banane Ki Koshish Ki Hai Ki Is Qille Ki Buniyad Ko Tahatus'shara Tak Pahucha Diya Jaye Aur Bulandi Ko Aasaman Chuwa Diya Jaye. Lekin Inhe Kya Maloom Ke Jin Qillo Ki Buniyad Jhuth Par Ho Un Ki Umr Bahut Thodi Hoti Hai.


Aeterazaat Karne Wale Log Bahot Hai Lekin Jo Iski Buniyad Dalne Wale Hain Aur Baato Ko Badal Badal Kar Pesh Karne Wale Hai Woh Naam Nihaad Hashmati Biradran Hai.
In Sha ALLAH Ta'ala, Jald Hi Sab Ki Haqiqat Samne Aa Jaegi.
Kuch Likhne Aur Padhne Se Qabl Aaiye Ham Sab Mil Kar Us Malike Haqiqi Ki Bargah Me Dua Kare Jiske Qabze Qudrat me Hamari Jaan Hai Jo Har Khuli Aur Chhupi Baato Ko Jan Ne Wala Hai Jiska Qaabu Sab Per Hai Jisper Kisi Ka Qaabu Nahi Jo Akhirat Ke Din Ka Malik Hai Jiske Aage Ham Sab Ko Hazir Hona Hai Usi Malike Haqeeqi Rabbe Zul Jalaal Ki Bargah Me Duaa Kare Ki Allah Ta'ala Hame Haq Ko Samajhne Ki Salahiyat Aur Use Tasleem Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye

Aiterazat Ki Faherist To Bahot Lambi Hai Fir Bhi Koshish Hogi Ke Jawab Tasalli Bakhs Aur Mukhtasar Ho Dua Ki Guzarish.

Aiterazat Karne Walo Ne Bahot Se Harbe Istemal Kare Bahot Bade Bade Da'awe Kiye Lekin Abhi Bhi Hath Khali Hai Aur Apne Hatho Se Apna Sir Pitne Ke Alawa Kuch Kaam Nahi Aaya Aur Bachcho Ki Tarah Pair Patak Kar Rah Gaye.
Allama Maulana Mufti Tatheer Ahmad Razvi Noori Sahab Qiblah Ek Bahot Bade Aalim Hai Jinhone Islahe Mua'ashrah Per Is Daur Me Sabse Zyada Kaam Kiya Hai Aur Allah Rabbul Izzat Ne Woh Taseer Aapki Zuban O Qalam Me Di Hai Ke Samaeen O Qaraeen Ke Dilo Dimag Me Islam Ki Saheeh Tasweer Paida Ho Gai.
Halanki Yeh Zamana Naqli Peeron Ka Hai Jo Gair Sharaee Kaam Ko Lazim o Zaruri Aur Farzo Wajib Ko Tark Karna Gunah Nahi Samjhta Aur Fir Upar Se Aise Maulvi Jo Apni Taqreero Me Radde Wahabiya Ke Naam Per Namaz Rozah Aur Islami Tehzib Ki Ahemiyat Ko Ghataa Rahe Hai.Yahi Wajah Hai Ke Kam Parha Likha Sunni Jalse Julooson Dargahon Ki Hazri Niyazo Fatiha Ko Hi Deen Ki Asl Samajh Betha Hai. Beshak Ye Tamam Afa'al Mustahab Aur Shia'are Ahle Sunnat Hai Lekin Farz O Wajib Ke Muqabla Me Nahi Aa Sakte. 
Isper Tafseeli Guftugu In'sha Allah ta'ala Aage Padhaenge.

Sab Se Pahle Inke Aiteraz Ke Qilley Ka Sabse Bada Minara Girana Hai Aur Tab Inhe Samjh Me Aaega Ki Yeh Kitne Bade Jahil Nahi Balkeh Jahile Mutlaq Aur Sunniyon Per Badnuma Daag Hai.
Mera Mizaaj Nahin Haan Me Haan Milane Ka,
Ghalat Thi Baat Teri, Ikhtlaaf Maine Kiyaan......
Aiteraz No. 1.
Molana Tatheer Ne Apni Kitab Darmiyani Ummat Me "Nabi Ko Bebas" Likha Hai.
Waah Re Teri Aqli Farasat Kitni Lambi Ud Gai.
Jahilo Se Guzarish Hai Zara Padho Kya Likha Hai Hazrat Ne Dikhao Zara Jaha Ye Jumla Likha Ho Ke "Nabi Bebas Hai".
Yeh To Tum Dikhane Se Kasir Rahe Mai Khud Hi Dikhaata Hu Kya Likha Hai Hazrat Ne.


Dekho Is Page per Kya Likha Hai Allama Tatheer Sahab Qiblah Ne.
Shayad Padhna Na Aaye kyuki Hindi Kitabo Se Padh Kar Bakwas Karne Walo Ko Urdu Padhna Aata Ho, Bahot Mushkil Lagta Hai.
(sare page number in logo ne hindi ke bataye hai. Asjad Miya sahab se baat kiye the tab bhi hindi print ke page number bol rahe the.)
Lo Achcha Bura Mat Mano Hindi Ka Bhi Ek Page Upload Kardeta Hu.
Ilzam Ki Haqeeqat Isse Kuchh Nahi Bas Wahi Purani Bimari Ke Sabab Aiteraz Kiya ke Inhe Achche Ba-amal Aalim Se Sakht Hasad Hai.
Aur Apne Makro Fareb Se Logo Ko Dhoka Dena Chahte Hai.
Ab Is Aeteraaz Ka Jawab Dalail Ki Roshni Me Khub Samajh Kar Parhen 
Al-Jawab
Jis Ibarat Par Aeteraaz Kiya Gaya Hai Wo Darmiyani Ummat Kitab Me Topic "Wahabi Kon Hai" Ke Tahat Likhi Hui Hai. 
Jisme Wahabiyo Ke Bare Me Tehqeeq Aur Unki Khabees Ibaraton Ka Radd Kiya Gaya Hai.
Pehle Ek Baat Jaan Leni Chahiye Ke Wahabiyo Ke Aqaid Padhne Ki Ijazat Awam Ko Nahi Di Gai Hai. Hamare Ulma Ne Unki Ibarato Ko Jab Bhi Bayan Kiya Hai To Sath Hi Uska Radd Bhi Kiya Hai. Awaam Aksar Bate'n Samjh Nahi Pati Bazahir Sahi Samjh Me Aati Hai Lekin Usme Hi Kabhi Gustakhi Kabhi Beadabi Ke Beej Hote Hai.
Isi Tarah Mardood Manhoos Molvi Ismail Dehlvi Ki Kitab(shaitani Parcha) jiska Naam "Taqviyatul Imaan" Usne Rakha.
Usme Khabees Ne Likha Page 16 per
"Isme Koi Shak Nahi Khawah Woh Chhota Ho Ya Badaa Sab Uske Be Bas Bande Hai. Aur Bebasi Me Sab Barabar Hai."
MaazAllah 
Astagfirullah 
Is Ibarat Ke Jawab Me Allama Tatheer Ahmad Sahab Qiblah Likhte Hai :
""Mai Kehta Hun Isme Koi Shak Nahi Aur Waqai Allah Ka Koi Sharik Nahi Chhote Ho Ya Bade Sab Uske Bande Hai Aur Isme Bhi Koi Shak Nahi Ki Allah Ke Samne Sab Bebas Hai Lekin Bebasi Me Sab Barabar Hai Yeh Kahan Se Kah Diya? Yahi Wahabiyat Hai Bade Chhote Ka Fark Mitana Ambiya, Awliya Ko Aam Logo Ki Saf Me Khada Kar dena Gumrahi Nahi To Aur Kya Hai. Yah Dekhiye Hadees e Paak Me Hai.
Hazrat Anas Se Marwi Hai Ki Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya Ki, "Allah Ta'ala Ke Kuch Bande Aise Hai Ki Agar Woh Allah Ta'ala Per Qasam Kha Jaye To Allah Ta'ala Unki Baat Ko Pura Kar Deta Hai." 
(Bukhari Shareef Jild-1 Safah 394) 
Bolo Wahabi Sahibo Yeh Kaun Hai Ki Az Ruye Hadees Khudae Ta'ala Inke Muh Ki Nikli Puri Farmata Hai Aur Aapke Bade Maulana Likh Rahe Hai Ki Bebasi Me Sab Barabar Hai.
Is Qism Ki Saikdon Hadeese Ma'a Arbi Ibarat Aur Tarjamah O Hawala Muta'ala Karne Ke Liye Hamari Kitab ""Hadeeso Ki Roshni"" Ka Muta'ala Karna Chahiye.""""
Yeh Jo Likha Hai Ise Shayad Kisi Pagal Ko Hi Galat Lagne Ka Shubah Ho Sakta Hai Aur Hua Bhi Wahi....!!!

Khair Wahabi Ki Ibarat Ka Jawab To Hazrat Ne De Hi Diya Hai Mai Unki Tafseelat Me Na Jate Hue Sirf Inke Aiteraz Per Aata Hu.
Guzarish Hai Jawab Ek Bar Aur Padhe Takeh Achchhi Tarah Samajh  Aajaye.
Itna behtareen Jawab Inke Smajh Me Nahi Aaya Lekin Jalan Ne Inko Kuch Dikha Diya Shaitan Ki Rahenumai Me.
(Chhid Kar Padhna Band Mat Kar Dena Apni Baat Ko Yaqimi Taur Per Sabit Kardunga In'sha Allah Ta'ala Kyuki Yahi Haq Hai).
Mila Bhi To Kya Mila Bas Ek Dhokaa...!!!
Aiteraz Karne Wale Kah Rahe Hai Ki Isme Allama Tatheer Sahab Ne Likha Hai,
"Isme Koi Shak Nahi Allah Ke Samne Sab Bebas Hai"
Dekho Molana Tatheer Ne Sab Ko Bebas Likh Diya Kya Sab Me Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Nahi Aate
Ma'az Allah Hamare Aaqa Wa Maula Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Moulana Tatheer Ahmad Ne Bebas Kah Diya.

Yeh Hai Inka Aiteraz Aur Mujhe To Is Baat Ko Aiteraz Kahne Me Bhi Bojh Malum Hota Hai Ki Muslman Ho Kar Aisa Aiteraz Karna Koi Aiteraz Hai
Yah Sirf Jihalat Hai Iske Siwa Kuchh Nahi.

Allama Tatheer Ahamad Sahab Qiblah Ne Jo Likha Hai Ki,
"" Isme Koi Shak Nahi Allah Ke Samne Sab Bebas Hai.""
Isme yeh kharab Lag Gaya Inhe Ke Allama Tatheer Ahamad Sahab Ne Likha Hai,
"" Allah Ke Samne Sab Bebas Hai. ""
Yaani
"" Allah Per Kisi Ka Bas Nahi."'
Matlab
"" Allah Per Kisi Ka Qaboo Nahi.""
Yahi Matlab Hua Na.
Mai Air-Firing Walo Me Se  Nahi 
Uper Maine Likha Ki Aiteraz Karne Walon Ki Samajh Me Urdu  Bhi Nahi Aati Hai Dekho Us Ki Ek Jhalak.
Lafze "Bas" Jiske  Aage "Be" Lagane Se Uska Manfi Ma'ana Negative Sence Nakaratmak Vichar Paida Hota Hai To Asli Lafz Hai "Bas" uska opposite hua "Bebas".
Jaise example ki taur me mai kahu ke
Aap ka mujh per bas chalta hai.
Aur 
Aap mere aage Bebas ho.(yani aapka bas mujhper nahi chalta yani aapka mujh per Qabu Nahi.)
Allama Tatheer Sahab Ne Likha
Allah Per Kisi Ka Bas Nahi
Matlab Allah Per Kisi Ka Qabu Nahi.
Aapke Zahen me itni baate aa gai hongi ab aage chalte hai Zara.
Aao Zara Aqaide Ahle Sunnat Per Nazar Daale To Mash'hoor e Zamana Kitab Huzoor Sadarus Shari'a Mufti Amjad Ali Aazmi Alaihirhma Ki Kitab Bahare Shari'at Hissa 1 page 2 dekhte hai.
"" Aqeedah - Woh Jo Chahe Aur Jaisa Chahe Kare Kisi Ko Usper Qaabu Nahi Aur Na Koi Uske Irade Se Usko Baaz Rakhne Wala.""

Kya Farmaya Gaya Hai Isme
Kisi Ko Us(Allah) Per Qaabu Nahi.
Allama Tatheer Sahab Ne Bhi To Yahi Likha Hai
Allah per Kisi Ka Qabu Nahi
Allah per Kisi Ka Bas Nahi.
Allah Ke Samne Sab Be-bas Hai.
Lekin Mujhe Maloom Hai.
Itni Jaldi to In Fitnebazo ki Aqal Me Baat Aane Wali Nahi Hai
Kahenge ki Be-Qaabu Likhe Kaha unhone Be-Bas Likha Hai.
Maine aapse kaha tha na ki inki urdu bhi thik nahi dekho inko urdu bhi padhana padh raha h.
Mai kehta hun jinhe urdu nahi aati h samjh, woh maulvi kon se darje ke hai.
Dekho firozul lugat
Dekho "Bas" Ka Ma'ana
Mat dekho hogi bhi kaha firozul lugat urdu dictionary mai hi dikhaye deta hu.
Dekho kya likha hai
Bas ka Matlab Qaboo.
  
Ab kya yeh aap sab ke company ki ala darje ki Jihalat nahi hai ki aap log is ibarat per aiteraz kar rahe h kya yeh aqaide Ahle sunnat me shamil nahi hai.
Kya ab bhi kuch samjh me Nahi aa rha hai.??
Yeh toho gaya jawab aur ab janaza dekho khud ka.....!!!!
Bahare Shari'at Safah 1
Aqeedah- Woh Be Parwah Hai Kisi Ka Muhtaj Nahi Aur Tamam Jahan Uska Muhtaj.

Are Yeh Kya...???
In NamNihad Maulviyo ne Jo Khud ko Allama Aur Mufti Se Kam To Samjhte Hi Nahi Hai.
Mujhe pura Yaqeen Hai Ki Naam Ke Hi Kyu Na Ho Maulvi Bahare Shari'at Padhna Hi Padta Hai.
To Aey Jahil Maulviyon Aur Unke Jahil Aqeedatmando  Kya Ho Gaya Yeh ..!!!
Huzoor Sadarus Shari'a Ne Likha
""Tamam Jahan Uska Muhtaj Hai. """
Sab Ko Muhtaj Keh Diya.....!!!!
Yani Aaqa Sallallahu alaihi wasallam Ko Bhi Muhtaj Keh Diya...!!!
Kya yeh gustakhi Nahi Hai...tumrahe Nazdik..!!!
Dikhado Apne Pagalpan Ki Ek Do Aur Jhalkiyan. Inper bhi Laga Do Na Fatwa aur karlo na Khudkushi..... waise bhi tum Marne Hi wale ho Yeh Kah Kar Khud Ko Aag Laga Lo.


Lafzo Ke Matlab-----
Bebas- 
Agar Koi Kisi Ke Samne Bebas Hoto Woh Usse Koi Kaam Uski Marzi Aur Khushi Ke Khilaf Nahi Karwa Sakta.
Lekin
Muhtaj-
Agar Koi Kisi Ke Samne Muhtaj Hoto Woh Khud Bina Uski Marzi Ke Khud Kuchh Nahi Kar Sakta Jiska Woh Muhtaj Hai.
Jaise Ki Langda Mareez Bina Kisi Ke Sahare Ke Nahi Uth Sakta To Woh Us Sahare Ka Muhtaj Ho Gaya Uske Bina uska Uthna Chalna Muhal Hai....!!!!

Haqeeqat per ek Nazar
Insaaf se Kehna Bebas Se Zyada Kisi Ka Muhtaj Hona Zyada Tauheen Wali Baat Hoti hai.
Ek Baar aur Matlab padhle Bebas aur Muhtaj Ka.


Kyu Tum Khud Ko Sunni Aur Sunniyo ka Peshwa Kahte Ho Aur Aqeede Ke Maslo Se Waqif Nahi Ho 
Are Jahilo Isme Pakke Ho Jao. Nahi To Darr Hai Kahin Iman Se Hath Na Dho Baitho.
Yeh To Ho Gai Huzoor Sadarus Shari'a Badarut Tariqa Alahirhma Ki Baat.
Tumhari Aqal To Bahare Shari'at Samjhne Ki Nahi Hai Fir Bhi Fatawa Razviya Shareef Ke Naam Ka Ratt Lagaye Rahte Ho.
Fatawa Razviya Shareef  Is Liye Dikha Raha Hun Ki Tum Uski Ratt Lagate Ho.
Zara Dekho Fatawa Razviya Jild 29 safah 349
Alahazrat Azeemul Barkat Azeemul Martabat Mujaddide Deeno Millat Parwanaye Shame Risalat As'shah Imam Ahamad Raza Khan Fazile Bareillwi Radial Maula Tabarak wa Ta'ala Anhu Farmate Hai,
"" Huzoor Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Khuda Ke Bandah Wa Muhtaj Hai... ""
Ab Yeh Kya Ho Gaya Sarkar Alahazrat Ne To Aam Jumla Bhi Nahi Istemal Kiya Ke Koi Kahe Ki Iska Isharah Aaqa Sallallahu Alahi Wasallam Ki Taraf Bhi Ho Sakta Hai, Yaha Per To Sarkar Alahazrat Ne Nisbat Aur Sidha Isharah Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Per Kiya Hai.
To Ab Kya Kahoge Kya Alahazrat Per Bhi Aiteraz Karke Apne Jahil Hone Per Ek Aur Certificate Nahi Hasil Karna Chahoge.....!!!!!!!!
Afsos Afsos Afsos.........!!!!
Kabhi Ummid Na Thi Ke In Logo Me Aqaide Ahle Sunnat Tak Mazboot Nahi.
Aur Khud ko Hamiye Maslake Ahle Sunnat Kahte Hai.
Shiyare Sunniyat Tazia Ko Sabit Karne Ke Liye Edi Choti Ka Zor Lagane Wale Bewaqoof Maulvi Khud Sunniyat Se Ashanaa Nahi...!!!!
"Dunya Ki Ayeb Joi Khud Par Nazar Nahi Hai.......
Har Eik Ko Dekhta Hai Apni Khabar Nahi Hai.!!!!! 
Ek Ahem Baat-
Huzoor e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Be-misal Bashar Hai Noor Hai Waj'he Takhliqe Qaynaat Hai,
Woh Jo Na The To Kuch Na Tha Woh Jo Na Ho TO Kuch Na Ho,
Jaan Hai Woh Jahaan Ki Jaan Hai To Do Jahaan Hai...!!!!
Unki Haqiqat Ko Unke Rab Ke Siwa Koi Nahi Janta, Unki Haqiqat Ko Jibrail Alaihis Salaam Tak Nahi Jante. Woh Habeebe Khuda Hai Aur Aise Habeeb Hai Khuda Ke Ki Khuda Khud Mustufa Jaane Rahmat Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Raza Chahta Hai, Woh Rahmatullil Aalmeen Hai, Sare Aalam Ki Rahmat Hai, Unka Rahmat Hona Aisa Hai Aalam Ki Har Shai Aap Ki Rahmat Ki Zarurat Per Hai,
Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki....!!!!
Aur Ek Jumle Me Apni Baat Kahna Chahunga Ki Sare Aalam Per Bas Mere Aur Sare Jahaan Ke Aaqaa Wa Maula Huzoor Pur Noor Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Hai Aur Unper Mere Aur Saare Jahan Ke Rab Ka Bas Hai...!!!
Saara Jahaan Muhtaj Hai Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Aur Mere Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Muhtaj Hai Mere Aur Unke Rab Ke.
Allah Ta'ala Ne Unhe Maliko Mukhtar Bana Kar Bheja Aur Hame Unka Banda Aur Gulam Hone Ki Sa'adatmandi Bakhshi Aur Beshak Falah o Kamyabi Sirf Aaqa Ki Gulaami Me Hai.
Ham Abdullah Bhi Hai Abdun Nabi Bhi Hai Aur Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Sirf Abdullah Hai....!!!
Sarkar Alahazrat Azeemul Barkat Parwanaye Shamhe Risalat Fatawa Razviya Shareef Me Farmate Hai,
""""" Sab Un(Huzoor) Ke Muhtaj Hai Aur Woh Khuda Ke Muhtaj """"""
((Fatawa Razviya Jild 29 Safah 348))

Lekin Yeh Koi Shaan Ghatane Waali Baat Nahi Hai Yeh To Meraje Bandagi Hai. Yeh To Har Makhlooq Ki Ek Azeem Shan Hoti Hai Ki Woh Apne Khaliq Ka Banda Hai, Apne Khaliq Ka Muhtaj Hai.
Alahazrat Azeemul Barkat Ki Naatkhwani Sub'han Allah Sub'han Allah,
Sanakhwani Me Farmate Hai,
Sarwar Kahoon Kay Maalik-o-Maula Kahoon Tujhay
Baagh-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoon Tujhay
Keh Lay Gee Sub Kuch Unkay Sana Khuwaan Kee Khaam-Shee
Chup Ho Raha Hoon Keh Kay Mein Kiya Kiya Kahoon Tujhay
Itna Sab Kuchh Kahne Ke Baad Jab Sanakhwani Pe Rukna Tha To Sabse Badi Shan Bayan Karna Tha, Sukhan Ko Khatam Karna Tha To Alahazrat Farmate Hai Ki,
Leykin Raza Nay Khatm-e-Sukhan Iss Pay Kar Dia
Khaaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhay
Yeh Baat Haqiqat Hai Aur Duniya Ne Maani Hai Ki Saari Duniya Ki Badshahat Se Zyada Sari Duniya Per Hukumat Se Zyada Bada Martaba Khuda Ka Banda Hone Me Hai Khuda Ka Gulaam Aur Naukar Ban Ne Me Hai.
Ha Jab Banda Siwaye Rab Ke Kisi Ka Muhtaj Ho Jaye To Yeh Yeh Uske Liye Zalil Hona Hai Aur Rab Dua Se Kare Ki Hame Duniyadaro Ki Muhtaji Me Na Daal Aye Khuda e Paak, Aaqa Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Sadqo Wa Tufail Hame Duniyadaro ki Muhtaji Se Bacha Kar Apna Banda Banaye Rakh Aye Rab Duniyadaro Ka Bas Ham Per Se Hata De Tu Apne Bas Me Rakh Sirf Maula.
Khulasa-e-Qalaam
Yeh Masla Aqaide Ahle Sunnat Per Hai Logo Ne Galatfahmi Ya Hasad o Jalan Ya Bugzo Kina Ki Buniyad Per Yeh Aiteraz Kiya.
Mai Gumane Khair Karta Hu Ke Unse Galati Hui.
Allah Ta'ala Se Dua Hai Ki Maula Aisi Galatfahmi Se Bacha Aisi Galat Baato Ko Aam Karne Walo Se Bacha. 
Kuchh Shar Pasand Logo Ne Iski Galat Taweel Pesh Ki Hai Uska Khamiyaza Yeh Hua Ki Logo Me GalatFahmi Hogai Aur Huzoor Mohsine Qaumo Millat Hazrat Allama Maulana Ash'shah Mufti Tatheer Ahamad Razvi Noori Sahab Qiblah Per Aiteraz Kar Baithe Jinki Saari Zindagi Awaam Me Sahi Aqaide Ahle Sunnat Ko Aam Karne Taleemate Alahazrat Ko Aam Karne Me Guzar Rahi Hai. Jinke Ehsan Ko Bhula Pana Namumkin Hai. Yeh Ek Aaam Insan Nahi Hai Yeh Rehbare Qaum Hai Yeh Rahbare Shariyat Hai Yeh Rahbare Tariqat o Marefat Hai Yeh Rahbare Insaniyat Hai Yeh Sachche Hamiye Ahle Sunnat Hai Yeh Ek Zinda Wali Hai Jinki Zubano Qalam Me Allah Ta'ala Ne Woh Taseer Rakhdi Hai Jo Sirf Allah Ke Fazlo Karam Se Mumkin Hai.
Allah Ta'ala Aise Ka Sayaa Tadair Ham Per Qayam Rakkhe....!!!!!
Is Masle Per Logo Ne Apni Jihalat Ke Alawa Kuchh Aur Sabit Na Kar Paye, Ab Mazeed Agar Isper Koi Harkat Ki To Yeh Bahot Maheroomi Ki Baat Hai Ki Kisi Se Jalane Aur Hasad Me Islam Ki Buniyado Ko Tod  Diya Jaye, Aaqa Ke Deen Ki Haqeeqat Ko Daagdaar Kar Diya Jaye......
Nahi Nahi Aisa Na Karna Yeh Aqaid e Ahle Sunnat Ki Baat Hai Galati Samjh Ke Itne Per Ittefa Kar Raha Hu Agar  Aqaid e Ahle Sunnat Per Hamla Dubara Kiya Kisi Bhi Mauzu Per To Shayad Yeh Faqeer Fir Aaaega Aur Fir Kisi Raham Ki Gunjaish Mat Rakhna....!!!!

Kisi Kam Zarf Ki Shoala Bayani Se Na Dariyega,,,, Jo Khali Hote Hai Bartan Bahot Aawaz Karte Hai..... 
_________________________________________________________________________________
_________________________________________________________________________________
Aiteraz No. 2
Bareilwiyat Per Hamle Ka Ilzam
Aiteraz No. 2 Wali Post Read kare

Tuesday, February 7, 2017

Strong

Strong & Solid reply to HASHMATI Maulawis who are Insulting Huzoor Taajush Shari'ah and saying that Huzoor Taajush Shari'ah & Muhaddith e Kabeer are in support of Dawat-e-Islami and Sunni Dawate Islami - Speech by Damaad of Shehzadah e Sadrush Shariah Allamah Mubarak Ali Qadri saHib Qiblah.

SOLID REPLY TO NAAM NIHAD HASHMATI BURHAN RAZA MASLAKE HAQ

Solid reply to Naam Nihad Hashmati Burhan Raza Maslake HAQ  Published on Jan 18, 2017 SARKAR TAJUSHSHARIAH KE "LAQAB-E-AZHARI" PAR AYETERAZ KA MUNH TOD JAWAB NAAM NIHAAD HASHMATION KE NAAM ::

Monday, February 6, 2017

Molana Zunaid Raza Qadri Razvi

Jashne Goushe Aajam Aamade Aoulade Goushe Aajam Peere Tarikat Khalifaye Huzur Tajush Shariya Hazrat Molana Sayyed Abdul Qadir Zilani Miya In Burhanpur Date 05 February 2017
Burhanpur Madhya Pradesh India me

Molana Zunaid Raza Qadri Razvi

Click Download

SHAJRA - E - RIZVIA

Shajra-e-Rizvia_Urdu.pdf
Shajra-e-Rizvia_Urdu.pdf
Download

Saturday, February 4, 2017

FATAWAS

1.Badmazhab wahabi/Deobandi Aur Tamam Gusatkhon Ka Radd Karna Farz-e-Azam hai Aur jo Tanzeem Isse Roke Vo gumraah hai
Chahe wo Sulaahkulli DawateIslami ho Ya Sunni DawateIslami..Dono Maslak-e-Alahazrat ke Mukhalif hai. 
click Here to View Fatwa 

2.LoudSpeaker ya Mike par Namaz Nahi hoti. 
click Here to View Fatwa 

3.TV aur Video Tasveer ke Hukm me hai aur Haraam hai..DawateIslami ka TV Channel Dekhna bhi Najaiz hai. 
click Here to View Fatwa 

روزہ ‏کھولنے

روزھ کھولنے اور بند کرنے کی دعا 🙏 سحری کے ٹایم کی دعا وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ میں نے رمضان کے اس روزے کی نیت کی_ اف...