Tuesday, February 14, 2017

AITERAZ NO.4 WAHABI LAFZ ACHCHA KAHNE KA ILZAM


Aiteraz No. 4
Wahabi Lafz Achcha Kahne Ka Ilzaam
Mukhalefeen Party Ka Ek Aisa Mazboot Aiteraz Jisko Jaan Kar Aaapko Yaqeen Ho Jaega Ki Yeh Kitne Bade Jhute Kitne Bade Makkar Aur Kitne Bade Jahil Hai....
Actually Baat Yeh Hai Ki Jhuto Ki Duniya Ki Badi Aj
eeb Hoti Hai, Unke Duniya Me Darja Bada Uska Jo Zyada Bada Jhut Bole Lekin Yeh Gaafil Bhul Gaye Ki Jhuto Per Allah Ki La'anat Padti Hai.
Aur Hairat Is Baat Ki Aur Ki Khud Jhut Bolte  Hai Aur Kahte Hai , "Allah Ki La'anat Ho Jhuto Per""
Aise Log  Bahot Kam Milte Hai Lekin Jis Toli Aur Giroh Ko Mai Mukhatib Kar Raha Hu Yahaa To Har Ek Sabse Aage Badh Ke Milte Hai...!!!!!
Allama Tatheer Raza Sahab Ne Apni Kisi Kitab Me Kisi Ishtehar Me Aisa Nahi Likha Tha Lekin Inke Dimag Ki Kya Kharabi Thi Pata Nahi Maine Suna Hai Aankh Ka Aur Dimag Ka Gahra Rishta Hai Jab Dimag Me Kharabi Ho Jati Hai To Sab  Galat Salat Nazar Aata Hai..
In Jhuto Ne Dawa To Kiya Lekin Koi Kitab Ka Naaam Na Koi Scan Kuchh Nahi Bas Isper Hi Duniya Bhar Ke Fatwe Thok Diye Ki Allama Tatheer Sahab Ne Wahabi Lafz Achcha Hai Likha Hai.
Allama Tatheer Raza Sahab Ne Apni Kitab "Imam Aur Muqtadi" Safah-65 Per Yeh Likha Hai Ki, "Wahabi Lafz Isliye Galat Hai Ke Wahabiyat Galat Hai."
Yeh Likhne Ki Wajah Bhi Hazrat Ne Wazeh Kar Di Hai Ke Bahot Se Log Hai Jo Giroh Bandi Ki Buniyad Per Wahabiyo Me Shamil Hai Yaa Unhe Wahabi Khayal Kiya Jata Hai Lekin Unke Aqeedah Abhi Sunniyo Waale Hai Wahabiyo Wale Nahi To Qabl Iske Ki Woh Pakke(Sade) Wahabi Baney, Ham Unhe Apnane Ki Koshis Kare Aur Unka Boycott Karne Ke Bajaye Un Tak Apni Baat Pahuchaye....
Aur Yeh Sirf Allama Tatheer Raza Sahab Ka Hi Maukif Nahi Hai ZimmeDare AhleSunnat Pahle Hi Farma Chuke Hai...
Khud Alahazrat Farmate Hai,
" Jin Logo Ke Aqaid Muzabzab Ho(n) Unse Narmi Barti Jaaye Ke Woh Thik Ho Jaye(n), Yeh Jo Wahabiyah Me Bade Bade Hai(n) Un Se Ibteda'an Narmi Ki Gai Magar Un Ke Dilo Me Wahabiyat Rasikh Ho Gai Thi."
((Al-Malfooz Shareef Safah-64))
Huzoor Shere Beshaye Ahle Sunnat Molana Hashmati Ali Khan Alahirhmato War Rizwan Farmatw Hai,
"" Jin Ko Dekhe(n) Shub'haat Me Ma'az Allah Mubtala Hai Un Ke Shub'haat Rafq Wa Narmi Ke Sath Zail Karne Ki Koshish Kare.""
((Radde SulahKulliyat  Safah-42))
'
Tablighi Jamaat Jab Kisi Basti Me Jati Hai To Kya Woh Batate Hai Ke Hamare Aqaid Kya Hai ??, Woh Sirf Namaz Roze Ki Baat Karte Hai Aur Unke Sath Unke Haqiqat Se Na-Waqif Log, Namaz Roze Ki Muhabbat Me Un Ke Sath Chal Dete Hai Aur Unke Sath Hone Ki Wajah Se Unhe Bhi Wahabi Deobandi Khayal Kar Liya Jata Hai Aur Abhi Tak Unhe Haqiqat Se Aagahi Na Hui, To Woh Sirf Kahne Me Wahabi Hai Lekin Haqiqat Me Nahi, Ya'ani Unke Aqaid Wahabiyo Jaise Nahi, Agar Kuch Sujh Bujh Wale Sunni Ulema Un Se Rabtah Kare To Usme Kya Beja Baat Hai.
Yeh Sab To Usko Na-gawaar Hoga Jo Khud Gawar Hoga
Jo Sunniyat Ki Isha'at Nahi Chahta.
Agar Allama Tatheer Sahab Qilah Ne Yeh Likh Diya Wahabi Lafz Isliye Galat Hai KI Wahabiyo Ke Aqaid Galat Hai.
Ya'ani Sirf Kahne Aur Samjhne Ya Uske Liye Wahabi Ka Lafz Bolne Se Woh Wahabi Nahi Jab Tak Woh Unke Galat Aqaid Ka Haami Na Ho Ya BAtane Samjhane Ke Ba-Wa-jud Bhi Bhi Sath Na Chhode.
Wahabi Kahlaye Jane Walo Me Kuchh Woh Bhi Ho Sakte Hai Jin Ko Tum Jaiso Ne Wahabi Kah Dala Ho Aur Fir Tumhare Chele Chapate Bhi Tumhari Boli BolneLage Ho.
Tum Jaiso Ke Nazdik To Sunni Wahi Hai Jo Aikdum Ujjhad Nira Jazbati Josh Me Hosh Kho Baithye Aur Kahta Fire Yeh Bhi Wahabi Woh Bhi Wahabi Mai Bhi Wahabi Tu Bhi Wahabi Wahabi Wahabi KA Wazifa Padhta Rahta Ho Khwab Me Bhi Use Wahabi Nazar Aate Ho.
Alahazrat Ne Aqabire Wahabiya Akabeere Wahabiya Ki Sareeh Bargahe Khuda o Rasul Me Gustakhiyo Ke BA-Wajud Unhe Samjhane Bujhane Khat Wa Kitabat Karne Me Saalo(n) Laga Diye Tab Kahee(n) Kufr Ka Fatwa Saadir Farmaya Aur Tumhari Factory Me To Do Minute Me Wahabi Bante Hue Wahabi Banane Ka Karkhana Khol Rakha Hai Tum Ne.
Wahabi Murtad Aur Kafir Yahi Banate Hai Yeh Sirf Karkhana Isi KaKhol Rakha Hai.

Haa Hamne Sunaa Hai Ki Allama Tatheer Raza Sahab Ki Is Kitaab Ke Puraane Edition Me Yeh Julma Is Tarah Likha Hua Hai Ki,
" Wahabi Lafz Galat Nahi Wahabiyo Ke Aqeede Galat Hai. "
To Agar Kisi Ko Yeh Kitab Bhi Mil Jaye Khair Hame To Mili Nahi,
To Isme Bhi Yeh To Nahi Likha Hai Ki Wahabi Lafz Achcha Hai. Aur Naa Hi Kisi Bhi Edition Me Aisa Likha Hai Hazrat Ne, Jitni Baate Thi Woh Sab Bayan Kar Dena Diyanatdari Hai, Aapki Tarah Chori Aur Makkari Karne Se Allah Bachaye...
Aur Yeh Bhi Likha Tha To Hazrat Ne Sahi Hi Likha Tha Ki " Wahabi Lafz Galat Nahi Wahabiyo Ke Aqeede Galat Hai"
Lekin Unhe Bhi Maloom Tha Tum Jaise Jahil Duniya Me Hai Jinhe Padhne Ka Sahoor Nahi Hai Aur Padhane Ke Sh'aoor Ka Dawaaa Karte Firte Hai. Isliye Bahot Pahle Hazrat Ne Is Shubah Ko Bhi Khatam Kar Diya Tha.
Aur Aapko Makkari Ke Liye Kuchh Mila Nahi To Ek Nayi Hi Gadh Li ke Hazrat Ne Wahabi Lafz Ko Achchha Likh Diya Hai.
Ek Kaam Krna Isko Padhte Jana Aur "" Jhuto Per Allah Ki La'anat Kahte Jana ""
Isse Jahilo Ne Yeh Kaise Kah Diya Ki Allama Tatheer Raza Sahab Ne Wahabi Lafz Ko Achcha Kah Diya,
Batao Apne Aap Ko Mufti Aur Kya Kya Kahte Ho Batao Kya Achcha Aur Galat Ek Dusre Ke Naqeez Hai Ke Jo Galat Na Ho Uske Liye Achcha Hona Zaruri Ho Bataiye Yeh Mubah, A'abas, Be-Faiydah, Be-Maqsad, Gair Mufeed, La-Hasil Wagairaha Jaisa Alfaz Achchhe Ke Liye Bolte Hai Ya Galat Ke Liye...????????
Itne Me Hi Ghoom Kar Rah Gaye Ho......!!!!
Tumhari Mat Maari Gai Hai.........!!!!!
Aur Suno,
Mukhlis Mashwaro Ke Liye Ba Fazlehi Ta'ala Hamre Zahen Ki Khidkiya Khuli Hui Hai, Lekin Aap Ko Mashware Dene Se  Kya Matlab, Sirf Fatwe Lagana Aata Hai Woh Bhi Aikdum Kufr Ke....
((Sach Batana Ab Tak Kitno Ko Kafir Bana Chuke Ho))
Suno,
Agar Sirf Itna Kaha Jaye Ki, "Wahabi Lafz Galat Nahi." To Bhi Isper Hukm Shrah Aaiyd Nahi Hota Agar Che Munasib Nahi Kyunki Jab Uske Fauran Baad Kah Diya Gaya ,"Wahabiyo Ke Aqaid Galat Hai."
To Zahir Hai Ki Lafz Ko Galat Na Kahna, Lafz Min Haisul Lafz Ke Lihaz Se Hai, Ma'ani Mafhoom Misdaaq Aur Madlool Us Se Muraad Nahi..
Rahi Yah Baat Ki Yah Kyu Kah Rahe Hai Yeh Kahne Ki Zarurat Kya Aan Padi To Baat Yah Hai Ki Agar Koi Shakhs Wahabiyo Ke Aqaid na Rakhta Ho Lekin Galatfahmi Ki Buniyad Per Kuchh Jazbati Log Us Ko Wahabi Kah De(n) To Us Ke Kahne Se Wahabi Nahi Ho Jaega Agar Che Uske Liye Wahabi Ka Lafz Bola Jaye, Kyu Ke Sirf Talaffuz Aur Itlaq Kaafi Nahi..
Aaj Jaise Haramain Shareefain Me Najdi Wahabi Hukoomat Ke Zere Saayah Rahne Walo Me Ab Bhi Khush Aqeedah Hai Anbiya Awliya Se Muhabbat Wa Aqeedat Rakhne Wale Hai Lekin Waha Unme Rahna Unki Majburi Hai Jise Zaeeful Imaan To Kaha Ja Sakta Hai Lekin Kufr o Wahabiyat Nahi, Agar Che Duniya Unhe Waha Rahne Ki Wajah Se BadMazhab Aur Wahabi Khayal Karti Hai.
Baate To Bahot Hai Karne Ko Lekin Itni Wajahat Kaafi Hai,
Sidhi Baat,
Lafz Apni Urfi Haisiyat Se Hi Galat Hai Fee Nafsehi Nahi. Aur Jis Ne Fauran Mutaslan Yeh Kah Diya Ke Wahabiyo Ke Aqaid Galat Hai. Woh Lafz Ko Min Haisul Lafz Hi Kah Raha Hai Ke Woh Galat Nahi Hai Taki Log Sirf Alfaz Ke Itlaq Ka Aitebar Na Kare(n) Balki Kisi Ko Bura Bhala Mat'oon Kahne Me Us Ke Aqaid Ko Bhi Malhooz Rakhe.
Huzoor Mufti E Aazam E Hind Rahamtullahi Alaihi Aksar Farmaya Karte The,
"" Wahabi Kam Hai Wahabiyo Ke Fareb Khurdah Zyada Hai. ""
To Hazrat Ke Is Qaul Ka Kya Matlab Hai,..????
Sochne Ki Koshish Kare Khud Samjh Jaoge...!!!!
Ek To Bada Shot Dena Chahiye Tumhari Aqal Ko Hilaane Ke Liye Chalo Jhelo Zara Ab Inhe, Abhi Tak Halke Halke Se Samjha Rha Tha, Lekin Ab Maine Yeh Baat Bhi Kahi Ke Jo Bhi Kahunga Usko Sabit Karunga. Allah Ke Fazlo Karam Se.
To Maine Ek Jagah Kaha Tha Ki Dalail To Bahot Hai Lekin Tumhari Aqal Ke Hisab Se Baat Kar Rha Hu To, Tumhari Aqal Ke Hisab Se Ab Tak Bat Karke Apna Maqsad Aur Apni Baat Sabit Rakhi, Ab Pahle Hisse Ka Asar Dekho.......
Bad Mazhabo Aur Batil Firqo Ko Jin Naamo Se Masoom Kiya Gaya Hai Agar Woh Nam Min Kullil Wujooh Ya'ani Alal Itlaq Galat Hai To, Hazrat Sayyadna Imam Shafa'ee Rahamatullahi Alaih Ka Woh Mash'hoor Shaier Jo Allama Ibn Hajar Haitmi Ne Apni " Al-Sawa'iqul Muharriqah ""  Me Safah-33 Par Naqal Kiya Hai Jo Yeh Hai,
کان رفضا حب آل محمد 
فلیشھد الثقلین انی رافض
Agar Muhmmad Ki Aaal Se Muhabbat Karne Ka NaamRifz Hai To Jinno Ins Gawah Ho Jaye(n) Ki Mai Bhi Rafzi Hu....
Rafzi Lafz Lizatehi Qabeeh Hai To Is Ka Itlaq Kisi Ma'ana Kar Durust Nahi Hota Lekin Imam Shafa'ee Ne Khud Ko Rafzi Kyu Kah Dala Jab Ki Iska Ma'ana Hubbe A'ale Muhammad Ho.
Sallallahu Alaihi Wasallam.
Alfaz To Lizatehi Kufr Wa Kafir Bhi Qabeeh Nahi, Istelahe Shrah Me Qabeeh Hai, Kufr Ke Ma'ane Hai Inkar Karna  To Jo Allah Aur Uske Rasulo(n) Ka Ya Zaruriyate Deen Me Se Kisi Ka Inkar Kare Us Ko Kafir Kahte Hai Aur Jo Ma'aboodane BAtilah Gair Islami Aqaid Ka Munkir Ho Un Ke Sath Kufr Kare Woh Momin Hai.. Alahazrat Farmate Hai,
Kufr Ki Do Qisme Hai Aik Zail Jo Kufre Kuffar Hai............. Dusra Kufr  Sabit Jo Abd-al'aabaad Tak Qayaam Rahega Ulema e Deen Ne Juzwe Iman Farmaya Hai.
(Al-Malfooz Kamil-safah-63)
Yeh Aaj Ke Maujudah Halaat Bhi Aise Hai Ki Wahabiyo Ke Aksar Log Sirf Naam KeWahabi Hai.
Kuchh Saalo Pahle Hi Baat Hai Ki Wahabi Deobandi International Level Per Ijtema Karwa Rahe The Aur Unhone Chhattisgadh Ke Ilake Me Karne Ka Iradah Kiya Tha Ijtema Lekin Huzoor Amine Shariat Alaihir Rahma Ki Zaate Ba-barkat Ka Aisa  Faiz  Tha Waha Per Ki Unhone Aur Waha Ke Gaiyuur Muslmano Ne Mil Kar Har Haal Me Usko Rukwaya.
To Wahabiyo Ki Har Chaal Na-Qamyaab Hone Ke Baad Unhone Waha Per Ka Ijtema Cancel Karke Nagpur Ke Ilake Me Kiya ""Kamptee"" Me Nagpur Se 25km Kam o besh Hai.
To Yaha Per Yeh Karwane Me Qamyaab Ho Gaye Aur Ijtema Shuroo Kiya. Bahot Public Aai Khub Majma Jama Kiya
Lekin
Tarikh Shaheed Hai Nagpur Ke Log Gawah Hai.
Ki Jitni Bheed Unke Ijtema Me Nahi Thi Usse Zyada Bheed,
Shahshahe Hafte Aqleem Sarkar Tajul Millate Wad Deen Huzoor Sayydena Gausena Wa Gayasena Hazrat Sayyad Muhammd Tajuddin Rahamtullahi Alaih Ke Aaastane Mubarak Per Thi.
Tajbagh Shareef Nagpur Me The
Yeh Yeh Log Ijtema Me Aaye Wahabiyo Ke Woh Sab Sabse Pahle Dargah Shareef Me Haziri Dene Ke Liye Aaye The Aur Fir Yeh Log Ijtema Ko Gaye Aur Bahot Se Log To Mahez Isliye Ijtema Me Aaye Honge Ki Ijtema Nagpur Me Hai To Chalo Kuch Deen Sikhne Ke Sath Sath Sarkar Tajul Awliya Ke Astanaye Mubrak Per Hazri Ki Sa'adat Mandi Bhi Hasil Ho Jaegi Waha Fatiha Padhlenge Padhwa Lenge.
Aakhir Yeh Log Kon The....????
Koi Jawab.......!!!!
Yeh Log Wahi The Jo Khud Ko Ya Log Inhe Wahabi Kahte Hai Lekin Yeh Woh Wahabi Nahi Hai.
Yeh Lafzi Wahabi Hai, Aiteqadi Wahabi Nahi Hai.
Yeh Woh Log Hai Jinhe Mahol Ne Naam Diya Giroh Ne Naam De Diya Hai Ki Wahabi Hai..
Lekin Jo Wahabi Kafir Se Bad'tar Hai Yeh Woh Wahabi Nahi Hai.
Yeh Kaisi Qaum Hai Iska Faisla Tum Jaise Jahilo Ke Hatho Supurd Kiya To Tum Inhe Wahabi Bana Doge Do Minute Me Ke Yeh Khud Ko Wahabi Kahte Hai....
Yeh Muzabzab Kism Ke Log Hai Inke Buniyadi Aqaid Sunniyo Ke Hai Kyuki Wahabiyo Ki Aadat Hai Woh Tableegh Apne Aqaid Se Nahi Namazo Rozah Se Shuroo Karte hai Jisse Log Muta'assir Ho Kar Naam Bhar Ke Wahabi Ban Jate Hai.
Yeh Logo Ke Sath Narmi Zaruri Hai Aur Rafeeq Ban Kar Inko Sudharna Zaruri Hai Lekin Yeh Ahle Ilm Karenge Jahil, Kam Ilm Inse Bhi Zyada Guftugu Na Kare Kahi Iske Hi Iman Ko Zarar NaPahuch Jaye.
Allah Tabarak Wa Ta'ala Se Dua Hai Ki Maula Ham Sab Ko Ahle Sunnat Ke Sachche Mazhab Per Qayam Rakh, Isi Per Khatma Bil Khair Farma.
Aameen Ya Rabbul Aalmeen Bajahil Nabi'il Kareem Alaihi Afzalus Salato Wat Tasleem... ..
Jahilo Ne Aur Bhi Apni Shaitani Aqal Ka Istemal Karke Aiteraz Kiye Hai Jo Ki Sirf Ek Dhoke Se Zyada Kuchh Nahi Faislah Yeh Woh Kare Ki Kise Dhoka De Rahe Hai Woh Sunniyo Ko Ya Khud Ko.
Awaam Se Appeal Hai Ki Aise Jahilo Se Door Rahe Inki Baato Se Door Rahe.
Maine Yaha Per Mukhtasar Me Jawab Dene Ki Koshish Ki Hai To Yeh Itna Lamba Ho Gaya Ke 50Pages Ke Kareeb Hai, Aur Aiterazat Bahot Nazuk Hai Ek Samjhdar Sunni Ek Pal Me Unki Haqiqat Samjh Jaega.
Agar Fir Bhi Kisi Ko Kisi Aur Aiterazat Ka Jawab Chahiye To Woh Hamse E-mail Per Baat Kar Sakte Hai.
Yaha Zyadah Likhna Maslehat Ke Khilaf Hai, Logo Ko Padhne Me Bojh Honga.
Ab Jiske Dil Me Aaye Wahi Paaye Roshni....
Hum Ne To Dil Jala Ke Sare Aam Rakh Diya..!!!

No comments:

Post a Comment

روزہ ‏کھولنے

روزھ کھولنے اور بند کرنے کی دعا 🙏 سحری کے ٹایم کی دعا وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ میں نے رمضان کے اس روزے کی نیت کی_ اف...