Aiteraz No. 2
Bareilwiyat Par Hamle Ka Iljam
Aiterazat Ke Jawabat dene se qabl mai zaruri samjhta hu ki ek baat per roshni daal
du kyuki Insaniyat Ka kaam insano ke zimmah hota hai Agar Mukhtalifeene Allama Tatheer Sahab Me Insaniyat Ka Kuch hissa bacha hota to Mujhe aaj yaha kuchh na kahna padta tha Lekin jo farq aur jo darja insan aur haiwan ke bich me rakha gaya woh thi AQAL.

Aur mukhalefeen aqal se khali hai to Insaniyat ki ummid inse ki bhi nahi ja sakti Aur yeh aiteraz karke inhone sabit bhi kardiya ki Ham sahi guman kar rahe the inke talluk se
Allama Tatheer Raza Sahab Ek bade Aalim hone ke sath sath ek mukhlis insan bhi hai Aur Aajizi o Inkisari Se Muzayyan hai Koi Galati kitabo me nahi hai Sab Ulma e Kiram ki padhi hui kitaben hai Unko sab ne sahi hi nahi kaha Balkeh Taareefen ki Fir bhi Ye Hazrat Ki Aajizi O Inkisari Hai Ke Hazrat apni har kitab me likhte hai ke Yeh kitab maine awam ke liye likhi hai Agar koi zee ilm (Aalim) is padhe to
"Ahle ilm se guzarish hai ke Kitab me koi kami ya galti nazar aaye Ya kisi baaat me kisi ko koi shak ho to Khat kar ke Ya telephone ke zariye ittela den,Shukr guzar hounga".

Ab yeh to aapki Aajizi o Inkisari thi aur ek bahot achchi khaslat jo buzurgo ke sadqe unhe mili Unhone apni janib se ahle ilm ke Aehteram ke liye ise likh diya aur ahle ilm achche se jante hai ke iska kya matlab hai, Yahi ke agar koi baat hamari samjh me na aaye to Hazrat se daryaft karlen Iska yeh maana hargiz nahi hai ki galatiya hai isme.
Aur yeh to ek insaniyat wali baat thi jo Hazrat ne likh di Aur insan ka qalaam insan ko hi thik se samjh aata hai Janwaron paglo ko nahi..!! To kyu kar unhe samjh aata aur kyun kar aisa karte ke baat samjh me nahi aai Ya kuchh galti hi mehsus hui to Hazrat Allama Maulana Tatheer Ahmad Razvi Sahab Qiblah se daryaft kar lete Yun tamasha na karte sunniyat ka.
Jahil ko apni jihalat sabit nahi karni padti hai Khud ba khud logo ke samne aa jati hai Jab bhi woh muh kholta hai.
Aaqa Sallallahu Aliahi Wasallam Ka farman Hai ke Khaamoshi Aalim ki zeenat hai aur Jahil ka parda hai.
Agar aap khud ko aalim samjhte hai To bhi jahil hi hai Kyunki khamoshi ikhtiyar na ki Aur jab zabaan khol hi di To ab kya faydah...! Ab to parda uth hi gaya Aur logo ne jaan hi liya ki aap jahil hai.
Allama Tatheer Ahmad Razvi Sahab Qiblah ne apni kitab DARMIYANI UMMAT me likha hai ke,
"Khud Ko Bareilwi Kahna Hamara Kaam Nahi Badmazhab Log Hame Bareilwi Kahte Hai."
"Khud Ko Bareilwi Kahna Hamara Kaam Nahi Badmazhab Log Hame Bareilwi Kahte Hai."
Dar asl baat to bahot taweel likhi hai Hazrat ne Lekin yeh hi woh jumle hai jinse sab se zyada in jahilo ne aiteraz kiya hai Woh bhi bema'na aiteraz ke siwa kuch nahi hai.
Pahli Baat,
Bareilwi kahna Allama Tatheer Raza Sahab ke nazdik koi gunah o najaiz kaam nahi hai Yaqeen nahi aata ho to dekh lo Allama Tatheer Raza Sahab ki koi bhi kitab Mujhe yahan kitabo ke naam zikr karne ki bhi koi hajat nahi hai ke In kitabo ko dekho aur kuchh kitabe chhod do.
Is Ka khauf tum jaise choron ko hota hai Alhamdulillahi ta'ala hame khauf nahi tum jaiso ka Ham to tumhare failaye huye fitno se awam ko mehfooz karna chahte hai
Jao koi bhi kitab dekh lo Allama Tatheer Ahmad Razvi Sahab Qiblah ki sab me naam padho hazrat ka Cover page per hi likha hoga "Molana Tatheer Ahmad Razvi Bareilwi"
Yeh is baat ka sabut hai ki Bareilwi kahne likhne per bhi koi gunah nahi hai Warna woh khud kyu likhte.
Yeh is baat ka sabut hai ki Bareilwi kahne likhne per bhi koi gunah nahi hai Warna woh khud kyu likhte.
Dusri Baat,
Bareilwi Kahna Waqai Deobandiyo Ki Ijaad Hai Jo Woh Sunniyo ko Gali ki tarah diya karte hai Aur khud ko sunni batate hai Aur Sachche Sunniyo ko Bareillwi Kah kar Logon ko Raah e Rast se bhatkane ki koshish karte hai.
Deobandi wahabi kahte hai ke Bareilwi ek naya firqa hai Jo ham sunniyon(deobandi/wahabi) ko kafir kahta hai Is naye firqe ke baani Imam Ahmad Raza Khan hai Yeh shirk karte hai Qabron ki puja karte hai, Apne naye firqe ki khub tabligh karte hai aur Khud logo ko bewajah kafir kahte hai.
MaazAllah La'anatullah Alal Kazibeen
MaazAllah La'anatullah Alal Kazibeen
Is tarah ki bate kar ke Awam ko gumrah karte hai ki Bareilwi naya firqa hai Jab ke yeh baat sahi nahi hai Ham hi sachche sunni hai Aur ahle sunnat ke mazhab per QA'IM hai. Lekin deobandiyo wahabiyo ne is tarah kah kar bahot nuqsan kiya Bahot se logo ke zahen me yeh baat baitha di ke Bareilwi sachme ek naya firqa hai Jisse bachna lazim hai.
Ab ho sakta hai apni jihalat yaha per bhi dikhao ke aisa nahi hai Bareilwi kisi deobandi/wahabi ka kaha hua nahi hai Aur Mujh per jhut ke fatwe laga do Lekin aap jaise jhute to aalam me nahi milenge
(iska bhi sabut samne aaega).
(iska bhi sabut samne aaega).
Is baat per bahot si kitabe aur risale aur magazine maujud hai Fir bhi is baat per aap ko ek do baate to zarur bata dun kyu ke aap aise juhla ho ki aata jaata kuchh nahi aur bakwas duniya bhar ki..
Lekin ek sawal paida hota hai Har baat par dalil mangte firte ho Are Jahilo ! Jab kuchh pata hi nhi hai to kyun aa jate ho baat karne ke liye, Khud bhi to thoda padh liya karo Bakwas sunte ho bakwas ugalte ho.
Yeh lo ek zordar tamacha.....!!!!!!
Bareilwi kahna zaruri kah kar tumne do aalimo ki kahi hui baato ka istemal kiya tha MUFTI BADRUDDIN SAHAB GORAKHPURI Aur ALLAMA MADNI MIYA SAHAB Mai in dono ke ba qaydah ustad Aur Hind O Paak ke hazaron mashhoor Ulma e Ahle sunnat ke ustad HAZRAT BAHAR UL ULMA MUFTI ABDUL MANNAN SAHAB AAZMI ALAIHIRREHMA ka fatwa dikhata hun Taarikh ki is haqeeqat ko sabit karne ke liye ki bareilwi kahna kin ka kaam hai,

HUZOOR BAHAR UL ULMA MUFTI ABDUL MANNAN SAHAB AAZMI ALAIHIRREHMA farmate hai,
"Bareilwiyat koi mazhab nahi, Yeh deobandiyo aur wahabiyo ne Ba-Taure Istehza(Mazak Udate Huye) Sunniyo Ko Kahna Shuroo Kiya Tha Aur Isi Naam Se Mash'hoor Kiya."
(Fatawa Baharul Uloom Jild-2 Safah-56)
"Bareilwiyat koi mazhab nahi, Yeh deobandiyo aur wahabiyo ne Ba-Taure Istehza(Mazak Udate Huye) Sunniyo Ko Kahna Shuroo Kiya Tha Aur Isi Naam Se Mash'hoor Kiya."
(Fatawa Baharul Uloom Jild-2 Safah-56)
Kya ho gaya yeh Inhone bhi yahi kah diya Jo Allama Tatheer Raza Sahab ne kaha tha ke
"Khud Ko Bareilwi Kahna Hamara Kaam Nahi Badmazhab Log Hame Bareilwi Kahte Hai."
"Khud Ko Bareilwi Kahna Hamara Kaam Nahi Badmazhab Log Hame Bareilwi Kahte Hai."
Aur Ek do Dekhlo Yaqeen Na Aa Raha Hoto,
HUZOOR MASUDE MILLAT,
Jinhone Asre Hazir Me Imam Ahamad Raza Ki Mazhabi Aur Ilmi Shakhisiyat Ko Manwane, Likhwane Ka Bahot Bada Karnamah Jis Sunni Ne Anjam Diya Woh Hai Janab Doctor Professor Muhammad Masud Sahab Marhoom Zara Unki Gawahi Bhi Dekhe Is Baat Per,
"" Imam Ahamad Raza Per Yeh Ilzam Hai Ki Woh Bareilwi Firqe Ke Baani Hai, Agar Tarikh Ki Raushni Me Dekha Jaye To Maloom Hota Hai "Bareilwi Koi Firqa Nahi Hai Balke Sawade Aazam Ahle Sunnat Ke Maslake Qadeem Ko Urfe Aam Me Bareilwiat Se Tabeer Kiya Jata Hai,Aur Yeh Urf Bhi Hind o Paak Me Mehdud Hai, Asl Me Imam Ahmad Raza Aur Is Maslake Qadeem Ke Mukhalefeen Ne Is Ko Bareilwiyat Ke Naam Se Yaad Kiya Hai Aur Ba- Qaule Abu Yahaya Imam Khan Nausheri(ahle hadees), Yeh Naam Deoband Ka Diya Hua Hai."

Allama Abdul Hakeem Sharf Quadri Ki Mash'hoore Zamana Tasneef "Bareilwiyat Ka Taheqiqi Aur Tanqidi Jaiza" Me bhi Yahi Farmate Hai.
Doctor Professor Janab Jamaluddin Aslam(Jamia Milliya Islamia Delhi) ne bhi apne taheqiqi maqale me yahi likha hai "Guftani Na Guftani" me.
Ab Fir Dikhao apni jihalat ka ek aur naya drama......!!!!!!!
Dar asl iski ek wajah hai mukhalefeen Aur unki party puri tarah se nikammi hai kisi ke paas koi kaam nahi hai Aur inlogo ne deen ko tamasha aur taththa bana rakha hai Mazaq karte hai deen se.
Ab kaam dhandhe pahle hi nahi the In tamasho ki wajah se aur nikammepan me izafa ho gaya Ek kahawat hai jo bhulna nahi chahiye Buzurg log kahte the aur kitabo me bhi mil jati hai,
" Khali Dimag Shaitan Ka Ghar"
"An Empty Mind Is A House Of Devil"
"An Empty Mind Is A House Of Devil"
Lekin Aapne to dimag bhi bahar nikal diya hai khopdi se ke Shaitan ko rehne ke liye jagah kam na pade Aur zyada se zyada shaitan andar aa jaye Is Liye aap Bad-dimag se ab Be-dimag ho gaye hai.
Bad-dimag dusro ka bura karta hai Aur Be-dimag dusro ke sath sath apna bhi bura karta hai.
Aur Sach Me Aapne Apne Pairon Per kulhadi Maarli Hai....!!!!
Ab nahi dikhaoge kya apni jihalat, Nahi lagao ge kya Bahar ul Ulma par fatwa jo Allama Tatheer Sahab Qiblah par lagaya hai...
Mai apni daawo ko khali nahi chhodna chahta kuch rah jaye to talab kar lena,
Maine Kaha ki Bareilwi Jo Deobandiyo Wahabiyo Ne Kahna Shuroo Kiya Isse Nuqsan bhi hua hai aur pareshani bhi hui hai,
Agar ham is lafz ka shuroo se bouycott karte Aur khud ko hi ahle sunnat sabit rakhte to shayad yeh duswariya paida na hoti Kyunki Zamana e Risalat Ma'ab Sallallahu Alaihi Wasallam Ke qareeb Se Ahle Haq ka naam Ahlesunnat raha hai Beech me kami zyadati hoti rahi Lekin is naam ko nahi badla gaya Ahle Haq ne pahle isi lafz ko ta'arruf ke liye rakha aur isi ahle sunnat aur sunni se apna tarruf kiya Fir agar us daur ke fittinon gumrahon badmazhabo ne khud ko sunni kaha To fir nishani ke liye Us daur ke fitno ke khilaf koi nishani batai Isi tarah aaj hame bhi khud ko ahle sunnat aur sunni kahna chahiye Aur jab wahabi deobandi bhi khud ko sunni Kahe'n To unke khilaf khud ko bareilwi batana chahiye.

Is daur ke ek azeem buzurg jin se gurba e Ahle Sunnat wabasta hai aaj aur aane walo zamano me is zamane ko unse mansoob kiya jayega, Jinke bare me har koi kahta hai ki mai dusro se zyada unhe chahta hun Woh hai hi mehboob shakhsiyat Jo Naibe Mustafa hai Chasmo Chirage Khandane Alahazrat hai Waqt ke Imam hai Jinhe sirf mai hi nahi duniya e ahle sunnat Huzoor Tajushshariaah Hazrat Allama Molana Ash'shah Mufti Akhtar Raza Khan Azhari Dama Zillahun Noorani ke naam se janti aur pahchanti hai.
Jin Ki hayate zindagi ek azeem tohfa sabit hai Is daur ke liye kitne fitno ko daba diya aur kitne fitne sirf hazrat ki hayat ki wajah se dabe huye hai.Unki is qeemti hayat ko "HAYATE TAJUSHSARIYAH" Kitab Ki Surat Me Molana Shahbuddeen Sahab Qibla ne mehfooz kiya hai Yeh ek bada tohfa qaum ke naam unhone kiya.Zarur iska ajr woh paenge.
Isi Imam e Waqt ke sath ek aisa waqiya pesh aaya tha jise koi Aashiq e Tajushshariaah nahi bhul Sakta.
1986 A.D. me Huzoor Tajushshriyah safar e haj o ziyarat ke liye arab shareef tashreef le gaye the.
In muaamlat se aksar log waqif hai lekin fir bhi mujhe bayan karna hai to mukhtasar andaz me koshish karunga.
Saudi Government ke C.I.D. Ki tarah Jo Officier Hote Hai Unhone Hazrat ko Girftar kar liya tha Aur unhe jail le jaya gaya tha Wahan Hazrat se kya sawalat kiye Iski sari tafseel kitab me maujud hai yahi kitab "Hayate Tajushshariyah" me Jo ab hindi me bhi shayd chhap chuki hai.
Hazrat ke Sath huye Sawalo Jawab Jab Sun ne Aur Padhne me Aaye isse yahi natija nikla ki hazrat ke sath yeh zulm kiye jane ki wajah yahi hai ki in logo Ko khabar di gai hogi ke Akhtar raza bareilwi aaye huye hai Yeh us naye firqe ke sabse ahem fard hai Wahi bareilwi firqe ke Jo Ahle Sunnat ko kharij az Islam kahte hai jiska radd hamare ulma e najd ne dher sari kitabo me kiya hai Jis firqe ke baani imam ahamad raza bareilwi hai Aur yeh unki awlado me se hai.
waqai sawal o jawab is baat per dalalat karte hai Aap khud bhi woh kitab zarur padhe Aur Usme is topic ko bhi zarur padhe,
Jab Hazrat ko Jail Le jaya gaya To wahan per Waha Ki C.I.D. ne hazrat se kuchh sawalat kiye Jin ka jawab dete huye hazrat farmate hai,
" Ham Per Kuch Log(deobandi/wahabi) Yeh Tohmat Lagate Hai Aur Aap ko Bataya Hai Ke Ham Aur Qadyani Ek Hai, Yeh Galat Hai. Hame Bareilwi Kahte Hai Jisse Yeh Waham Hota Hai Ki Bareilwi Kisi Naye Mazhab Ka Naam Hai. Aisa Nahi Hai Balki Ham Ahle Sunnat Wa Jamaat Hai."
Fir Waha Ki C.I.D. Kuch Aur Sawal Kiye Jiska Jawab Dete Huye Kitab ke isi safah per aage farmate hai,
"Aur Yeh Ke Ham Apne Aap Ko Ahle Sunnat Hi Kahalwana Pasand Karte Hai Aur Hame Is Maqsad Se Bareilwi Kahna Ke Ham Kisi Naye Mazhab Ke Pairokar Hai Ham Par Bohtan Hai."
(Hayate Tajushshriyah safah-42)
(Hayate Tajushshriyah safah-42)
Ek Baat To Samjh Me Aa Gai Hazrat ne Farmaya "Ham Apne Aap Ko Ahle Sunnat Hi Kahalwana Pasand Karte Hai"
Aur Yeh Bhi Samjh Me Aa gaya ke hame bareilwi kahna kinka kaam hai Aur kya maqsad hai unka.
Aur Yeh Bhi Samjh Me Aa gaya ke hame bareilwi kahna kinka kaam hai Aur kya maqsad hai unka.
Yahi To Maqsad Hai Allama Tatheer Raza Sahab Ke Us Mazmoon Ka Jis Par Bade Bade Fatwe Dagne Ki Jasarat Tumne ki hai.
"Khud Ko Bareilwi Kahna Hamara Kaam Nahi Badmazhab Log Hame Bareilwi Kahte Hai."
"Khud Ko Bareilwi Kahna Hamara Kaam Nahi Badmazhab Log Hame Bareilwi Kahte Hai."
Aur Hazrat Ka khud Wazahati Bayan Bhi Maujud Hai Jo Hazrat ne hindustan wapsi ke baad diya Tha. woh internet per bhi available hai Aap wahan se bhi hasil kar ke sun sakte hai.
Waise kahi yeh na kah baitho ke Aisa kuch nahi mil rha hai internet par Maine hawai firing kardi hai...Lo yeh video file bhi share kare deta Hun.
https://youtu.be/6bSsUVdlToI
No comments:
Post a Comment