Thursday, February 16, 2017

*SARKAR TAJUSHSHARI'AH KE LAFZ-E-MUHTAJ KE FATWE KO LEKAR HASEDEEN AALE RAZA PAR RAZVI YALGAAR*

➖➖➖➖
                *[[[[[[  PART 1 ]]]]]]*
Bugz O Hasad Ke Nashe Me Choor Sankiyon Ka Zahoor Ho Raha Hai, Ab Sarkar Tajushshari'ah Ke Fatawe Me Bhi Nuqs Nikalne Lage.
FB Aur Whatshapp Ke Dedh Mufti.. Jinko Aab Dast Lene Ke Tariqe Nahi Ma'aloom, Woh Ulma Ki Girift Kar Rahe Hain
Aur Ulma Me Bhi Ayese Aalim-e-Rabbani Ke Dunya-e-Sunniyat Ke Bade Bade Jaiyid Ulma Ne Jinko TaajushShari'ah Jaise Azeem Khitab Se Nawaza.. Turrah Yeh Ke Ayse Jhute Da'awe Ke Sath Ke Ham Imam Ahmad Raza Aur Fatawa Razviyah Sharif Ke Manne Wale Hain.
*"Lafz-e-Bebas" Ki Daleel Me "Lafz-e-Muhtaj" Ko Pesh Karne Walon Par Sarkar Tajushshariah Ke Fatwe Ko Dikha Kar Mazaq Bana Rahe Hain, Unka Zuam Hai Ke Sarkar Tajushshariah Ka Fatwa Galat Hai* Ya Lafz-e-Bebas Par Lafz-e-Muhtaj Ko Daleel Banakar Pesh Karne Walon Ki Naiya Doob Gayi, *(Ma'azALLAH)*
*Padi Andhe Ko Aadat Ke Shorbe Hee Se Khaye,*
*Bater Hath Naa Aaye To Zaag Leke Chale,*
Huzoor Tajushshariah Ka Fatwa Ke *Khuda Farmata Hai Quran Ke Andar, Mere Muhtaj Hain Sab Peero Paigambar, Yeh Kehna Quran Par Iftira Aur Ambiya Auliya Ki Ihaanat Par Mushtamil Hai, Allah Ta'ala Ne Ambiya Auliya Ko Mukhtar Aur Unke Ma Siwa Ko Unka Muhtaj Farmaya Hai.*
*(Hawala:- Fatawa Tajushshariah, Safah- 164 Ta 166)*
Mazkurah Fatwa e Mubarakah Haqq Wa Saheeh Aur Fatawa Shareef Ke Ayen Mutabiq Hai,
Imam-e-Ahle Sunnat Fazil-e-Bareillvi "Zurqani" Ke Hawale Se Farmate Hain Ke,,
*Allah Ta'ala Ka Farmane Mubarak "Allah Ta'ala Ne Aap ﷺ Ko Muhtaj Paya To Gani Kar Diya" Wazeh Tor Par Shahid Hai Ke Allah Ta'ala Ne Aapko Gani Kar Diya Hai, Jisse Muhtaji Wala Wasf Zayil Ho Chuka Hai, Lihaza Uske Ba'ad Aap ﷺ  Ka Yeh Wasf Bayan Karna Hargiz Jayez Nahi,*
*(Hawala:- Fatawa Razviyah Sharif Jild-14, Safah-626 Ta 627)*
*"Nasimurriyaz" Ke Hawale Se Farmate Hain Ke, Aap ﷺ  Ko Allah Ta'ala Ne Tamam Logon Se Badh Kar Gani Banaya Hai, Khususan Allah Ta'ala Ke Us Farman Ke Ba'ad To Uski Gunjayish Hee Nahi "Paya Usne Aap Ko Muhtaj To Gani Kar Diya.*
*(Hawala:- Fatawa Razviyah Sharif Jild-14, Safah-628)*
Faqeer, Miskeen, Yateem, Muhtaj Wagairah Alfaz Ko Fuqha e Kiram Ke Hawale Se Na-jaiz O Haram Farmate Huwe Ba-Hukm-e-Fuqha Kufr Farmaya, Aur Phir Khud Farmate Hain Ke,
*Agar "QAUL-E-QAYIL" Ke "SIYAAQ Ya "SABAAQ" Ya "SOOQ" Ya "MASAAQ" Se "TARZ-E-TANQEES" "ZAHIR O SABIT" Ho Yaqeenan Kufr Hai.*
*(Hawala:- Fatawa Razviyah Sharif Jild-14, Safah 731Ta 732)*
*( "Siyaaq O Sabaaq" Aur "Tarze Tanqees" Ki Tafseel Kisi Zee Ilm Ki Bargah Me Zanu e Adab Hokar Puchh Lete To Samajh Me Aajata)*
Sabit Huwa Ke Sarkar Tajushshari'ah Ka Fatwa Wahi Hai Jo Imam-e-Ahle Sunnat Ka Farman Hai,,
Dusri Baat...Jahil Mafattiyon Ne Allama Tatheer Sahab Ke Radd Me Mazkurah Ibarat Ko Pesh To Kardiya Lekin Ilm Se Kore Yeh Jahil Nahi Jante Ke Imam Kya Farma Rahe Hain, Bahar-e-Shariat Padhna Nahi Aata Aur Fatawa Razviyah Sharif Ki Ibaraten Pesh Karne Chale Hain,
Qabile Gor Maqam Hai Ke Aaqa-e-Kareem ﷺ Shane Aqdas Me Jin Alfazon Ke Istemal Se Ihanat Hoti Hai, Tauheen Aur Gustakhi Hoti Hai Un Par To Sakht Hukm Me Kisi Tarah Ke Ta'ammul Ki Zaroorat Nahi Rahti,, *To Imam-e-Ahle Sunnat Un Lafzon Ke Istemal Par Hukm Ke Liye "QAUL-E-QAYIL" Ke "SIYAAQ" Ya "SABAAQ" Ya "SOOQ" Ya "MASAAQ" Se "TARZE TANQEES" ZAHIRO SABIT HO" Kyu Farma Rahe Hain..??*
Faqeer Un Juhla Se Puchhna Chahta Hai Ke Kisi Musalman Ko Gaali Dene Par Islam Me 80 Kode Ki Saza Hai, Ab Suwal Yeh Paida Hota Hai Ke Kya QAUL-E-QAYIL Me Gaali Ke Alfaz Par Jo Uske Muh Se Nikle....80 Kode Ki Saza Hai...??
Agar Alfaz Par 80 Kode Ki Saza Hai To Fuqha Ki Aksar Kitabon  Hatta Ke Quran-O-Hadees Me Bhi Un Lafzon Ko Istemal Farmaya Gaya Hai To Galiyon Ke Un Alfaaz Par Saza Kaise Ho Sakti Hai..??
Sabit Huwa Ke Alfaz Bure Nahi Aur Uske Muh Se Nikalne Wale Alfaz Par Saza Nahi Hai, Balke Un Alfazon Ke SIYAAQ WA SABAAQ Me TARZ-E-TANQEES wa Tahqeer wa Tazleel Ki Bunyad Par 80 Kode Ki Saza Hai, Isi Ko Kehte Hain TARZ-E-TANQEES AUR SIYAAQ-O-SABAAQ..!
Sekdon Misalein Hain Is Qism Ki Lekin Khauf-e-Tawalate Tahreer Danishmand Ke Liye Aek Hee Misaal Kafi Hai,
Beshak Aaqa-e-Kareem ﷺ Ki Shane Aqdas Me Tauheen Ke Andaz Me Aur Shaan Ghatane Ke Liye Ayse Alfaz Ka Istemal Karna Kufr Hai, *Jab Wahabi Devbandi Lafze Muhtaj Aur Aajiz wa Bebas Ka Istemal Karta Hai To Uska Andaz Tauheen wa Tahqeer Ka Hee Hota Hai*
Maslan Kisine Kaha Ke Apni Takleef Par Nabi ﷺ Aur Paigambar علیہم الصلاة  والتسليم Se Faryad Talab Karo, Unse Madad Mango, Aur Jawaban Samne Wale Ne Kaha Ke Nabi Wali Se Kya Mangna, Woh To Khud Bebas Wa Muhtaj Hain, Bila Shubah Usne Tahqeer Tanqees Aur Ihaanat Kar Ke  Kufr Kiya.
Sarkar Tajushshari'ah Ki Ibarat Wahi Hai Jo Imam-e-Ahle Sunnat Ka Fatwa Hai, Woh Makhluq Ko Bhi Allah Ta'ala Ka Muhtaj Keh Sakta Tha, Peer O Paigambar Ko Hee Muhtaj Kehna Aur Woh Bhi Qurane Kareem Me Hai Ki  Takhsees Ke Sath Iftera Karke, Beshak Yeh Jhoot Aur Ihaanat Hee Hai,
Qurane Majeed Me Peeron Paigambar Ki Takhsees Karke Kahin Nahi Farmaya Gaya Hai, Balke Quran Ne To Yeh Farmaya Ke,,
*واللہ الغنی وانتم الفقراء*
*Allah Be-Niyaaz Hai Aur Tum Sab Uske Muhtaj*
*( Surah Muhammad Aayat No.38)*
Qurane Pak Ki Mazkurah Aayat Me Peer O Paigambar Ki Takhsees Nahi Hai Balke Farmane Aam Hai, Aur Jab Apne Mahboob Ki Taraf Takhsees Karke Khas Farmata Hai To Farman Hai,,
*وَ وَجَدَکَ عائِلاً فَأَغْنى*
*(Paya Usne Aapko Hajatmand To Gani Kar Diya)*
*(Surah Wazzuha Aayat No.8)*
Woh Kafir Hee Hoga Jo Malik-O-Mukhtar Aaqa ﷺ  Ki Shaan-O-Azmat Ghatane Ki Neech Harkat Karega, Dahelvi Ke Fuzla Khor Wahabiyah Dayabna Ka Yeh Tariqa Hai Ke Un Lafzon Ko Tarz-e-Tanqees Ya'ani Tauheen Ke Andaz Me Aaqa-e-Kareem ﷺ  Ke Liye Istemal Karte Hain, Jaisa Ke Unki Kitabon Se Sabit Hai....!!!!!
Allah سبحانه وتعالى Saheeh Samajhne Ka Shauoor Ata Farmaye
*آمین بجاه شفیع المذنبین ﷺ*
*(Note : Dusri Qist Zaroor Padhen Warna Baat Adhuri Rahjayegi)*
➖➖➖➖➖
     *Gulam Ahmad Raza Khan Razvi عفی عنہ*
        *(((((Raza Academy Surat)))))*
➖➖➖➖➖

No comments:

Post a Comment

روزہ ‏کھولنے

روزھ کھولنے اور بند کرنے کی دعا 🙏 سحری کے ٹایم کی دعا وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ میں نے رمضان کے اس روزے کی نیت کی_ اف...